Tarpan Shrivastava

main aksar apne aagaz aur anjaam se anjaan,
jab bhi kabhi sochta hun apne baare me,
khaalipan ki safed tasveer jahan me hazaar rang bikherti hai!
apne aapko sametne ki khatir aksar haath failana pada,
magar mera haath, hathon haath bika,
katra-katra hokar bhi tar-tar jeene ki khwahish ne,
hazaar baar mujhe jhuthla diya main jhooth,
nakara aur bika hua jab bhi kabhi sochta hun apne baare me,
apni tasveer ko rote pata hun,
yun hi aksar apne aapko phir se,
“tarpan” hota pata hun!!